mujh  tahī-jāñ  se  tujhe  inkār  pahle  to  na  thā
terā  aur  mere  liye  dīvār  pahle  to  na  thā
husn  ne  sauñpī  hai  ye  kaisī  nigūñ-sārī  mujhe
maiñ  kisī  kā  ā.ina-bardār  pahle  to  na  thā
is  tarah  to  pā-ba-jaulāñ  ham  na  phirte  the  kabhī
in  galī-kūchoñ  meñ  ye  bāzār  pahle  to  na  thā
ab  kahāñ  se  aa.ī  us  kāfir  ke  dil  meñ  raushnī
aa.ina  halqa-ba-gosh-e-yār  pahle  to  na  thā
'tābish'  ik  daryūza-gar  ko  baaz  rakhne  ke  liye
koī  darvāza  pas-e-dīvār  pahle  to  na  thā