ajab  saudā-e-vahshat  hai  dil-e-ḳhud-sar  meñ  rahtā  hai
ye  kaisī  chhab  kā  mālik  hai  ye  kaise  ghar  meñ  rahtā  hai
usī  ke  dam-qadam  se  hai  jahān-e-dīda-o-nazzārā
kahīñ  āñkhoñ  meñ  bastā  hai  kahīñ  manzar  meñ  rahtā  hai
nihāl-e-ḳhushk  meñ  ab  tak  vo  sūkhā  zard  sā  pattā
barahna  lagtā  hai  lekin  libās-e-zar  meñ  rahtā  hai
mirī  āñkhoñ  se  le  kar  tere  chehre  tak  sitāre  haiñ
ki  jo  gardish  meñ  aa  jaa.e  usī  mehvar  meñ  rahtā  hai
maiñ  apne  aks  ko  ram-ḳhurdagī  se  baaz  kyā  rakkhūñ
ġhazāl-e-ā.ina-ḳhāna  kisī  ke  Dar  meñ  rahtā  hai
mujhe  to  gor-e-girya  meñ  sulā  dete  haiñ  ghar  vaale
magar  ehsās-e-bedārī  mire  bistar  meñ  rahtā  hai