vo  kaun  hai  jo  pas-e-chashm-e-tar  nahīñ  aatā
samajh  to  aatā  hai  lekin  nazar  nahīñ  aatā
agar  ye  tum  ho  to  sābit  karo  ki  ye  tum  ho
gayā  huā  to  koī  lauT  kar  nahīñ  aatā
ye  dil  bhī  kaisā  shajar  hai  ki  jis  kī  shāḳhoñ  par
parinde  aate  haiñ  lekin  samar  nahīñ  aatā
ye  jam.a  ḳharch  zabānī  hai  us  ke  baare  meñ
koī  bhī  shaḳhs  use  dekh  kar  nahīñ  aatā
hamārī  ḳhaak  pe  andhī  havā  kā  pahra  hai
use  ḳhabar  hai  yahāñ  kūza-gar  nahīñ  aatā
ye  baat  sach  hai  ki  is  ko  bhulā  diyā  maiñ  ne
magar  yaqīñ  mujhe  is  baat  par  nahīñ  aatā
nazar  jamā.e  rakhūñgā  maiñ  chāñd  par  'tābish'
ki  jab  talak  ye  parinda  utar  nahīñ  aatā