sub.h  kī  pahlī  kiran  pahlī  nazar  se  pahle
ham  ko  honā  hai  kahīñ  aur  sahar  se  pahle
chāñd  ne  dekh  liyā  ham  ko  kanār-e-dariyā
bhaag  chalte  haiñ  kisī  aur  ḳhabar  se  pahle
lau  lagāne  se  ga.ī  dar-badarī  kī  zillat
ḳhud  ko  pahuñchā  huā  lagtā  huuñ  safar  se  pahle
kyuuñ  na  duniyā  ko  dikhā.ūñ  maiñ  jale  haath  kā  zaḳhm
kuchh  charāġhoñ  se  ta.alluq  thā  udhar  se  pahle
ik  hathelī  hai  mirī  ek  hathelī  us  kī
sab  duā.eñ  haiñ  asar-yāb  asar  se  pahle
shaam  ke  ba.ad  añdherā  nahīñ  rahtā  ghar  meñ
ek  sūraj  nikal  aatā  hai  sahar  se  pahle
tab  mirī  aañkh  khulā  kartī  thī  andar  kī  taraf
maiñ  ne  dekhā  hai  use  pahlī  nazar  se  pahle
tū  faqat  sīna-o-dil  hai  na  faqat  āriz-o-lab
suḳhan  āġhāz  kare  koī  kidhar  se  pahle