hamārā  dilbar-e-gulfām  aayā
qrār-e-jān-e-be-ārām  aayā
kamand-e-pech-o-tāb-e-zulf  kuuñ  khol
shikār-e-dil  kuuñ  le  kar  daam  aayā
shitābī  hosh  kuuñ  sar  siiñ  badar  kar
junūñ  kā  mujh  taraf  paiġhām  aayā
kare  tā-bulbul-e-dil  kuuñ  ġhazal-ḳhvāñ
bahār-e-ishq  kā  hañgām  aayā
ai  zāhid  bhaag  is  zulf-e-siyah  siiñ
ye  kāfir  dushman-e-islām  aayā
birah  ke  mahke  siiñ  qatl-e-dil  par
piyāda  ġham  kā  le  e.alām  aayā
huī  josh-e-mohabbat  siiñ  zabāñ  band
sanam  kā  darmiyāñ  jab  naam  aayā
balā  hai  tujh  nigah  kī  saif  kā  vaar
dil-e-betāb  āḳhir  kaam  aayā
'sirāj'  aane  meñ  us  jādū-nazar  ke
shakeb  o  tāqat  o  ārām  aayā