Jagat Mohan Lal Ravan

sab ko guman bhi ki main aagah-e-raaz tha

Jagat Mohan Lal Ravan

Unnao, Uttar pradesh, India

1889-1934
sab ko gumān bhī ki maiñ āgāh-e-rāz thā
kis darja kāmyāb fareb-e-majāz thā
misl-e-mah-e-do-hafta vahī sarfarāz thā
jis kī jabīn-e-shauq pe dāġh-e-niyāz thā
pūchho na hāl-e-kashmakash-e-yās-o-ārzū
vo bhī ajiib marhala-e-jāñ-gudāz thā
jab tak haqīqatoñ se mirā dil thā be-ḳhabar
bechāra mubtalā-e-ġham-e-imtiyāz thā
jhoñkā havā-e-sarv kā rindoñ ke vāste
ḳhum-ḳhāna-e-bahār se hukm-e-javāz thā
ahl-e-jahāñ ke kufr o tavahhum kā kyā ilaaj
ā.īna kah rahā hai ki ā.īna-sāz thā
muzmir the merī zaat meñ asrār-e-kā.enāt
maiñ aap raaz aap hī ḳhud sharah-e-rāz thā
aa.eñ pasand kyā use duniyā kī rāhateñ
jo lazzat-āshnā-e-sitam-hā-e-nāz thā
ḳhilqat samajh rahī thī jise iztirāb-e-dil
pinhāñ usī meñ hasti-e-āshiq kā raaz thā
achchhā huā hamesha ko chup ho gayā 'ravāñ'
ik ik nafas ġharīb kā hastī-gudāz thā
Top Urdushayar.com