sab  ko  gumān  bhī  ki  maiñ  āgāh-e-rāz  thā
kis  darja  kāmyāb  fareb-e-majāz  thā
misl-e-mah-e-do-hafta  vahī  sarfarāz  thā
jis  kī  jabīn-e-shauq  pe  dāġh-e-niyāz  thā
pūchho  na  hāl-e-kashmakash-e-yās-o-ārzū
vo  bhī  ajiib  marhala-e-jāñ-gudāz  thā
jab  tak  haqīqatoñ  se  mirā  dil  thā  be-ḳhabar
bechāra  mubtalā-e-ġham-e-imtiyāz  thā
jhoñkā  havā-e-sarv  kā  rindoñ  ke  vāste
ḳhum-ḳhāna-e-bahār  se  hukm-e-javāz  thā
ahl-e-jahāñ  ke  kufr  o  tavahhum  kā  kyā  ilaaj
ā.īna  kah  rahā  hai  ki  ā.īna-sāz  thā
muzmir  the  merī  zaat  meñ  asrār-e-kā.enāt
maiñ  aap  raaz  aap  hī  ḳhud  sharah-e-rāz  thā
aa.eñ  pasand  kyā  use  duniyā  kī  rāhateñ
jo  lazzat-āshnā-e-sitam-hā-e-nāz  thā
ḳhilqat  samajh  rahī  thī  jise  iztirāb-e-dil
pinhāñ  usī  meñ  hasti-e-āshiq  kā  raaz  thā
achchhā  huā  hamesha  ko  chup  ho  gayā  'ravāñ'
ik  ik  nafas  ġharīb  kā  hastī-gudāz  thā