jiine  meñ  thī  na  naza.a  ke  ranj  o  mehan  meñ  thī
āshiq  kī  ek  baat  jo  dīvāna-pan  meñ  thī
saada  varaq  thā  bāhama  gul-hā-e-rañg-rañg
tafsīr  jaan  paak  bayāz-e-kafan  meñ  thī
baḌhtā  thā  aur  zauq-e-talab  bekasī  ke  saath
kuchh  dilkashī  ajiib  navāh-e-vatan  meñ  thī
bīmār  jab  haiñ  karte  haiñ  fariyād  chārāgar
kyā  dāstān-e-dard  sukūt-e-mahan  meñ  thī
kahtā  thā  chashm-e-shauq  se  vo  āftāb-e-husn
halkī  sī  ik  shuā  thī  jo  anjuman  meñ  thī
kuchh  iztirāb-e-ishq  kā  aalam  na  pūchhiye
bijlī  taḌap  rahī  thī  ki  jaan  is  badan  meñ  thī
kis  se  kahūñ  ki  thī  vahī  gul-hā-e-rañg-rañg
bikhrī  huī  jo  ḳhaak  savād-e-chaman  meñ  thī