'ravāñ'  kis  ko  ḳhabar  unvān-e-āġhāz-e-jahā.an  kyā  thā
zamīñ  kā  kyā  thā  naqsha  aur  rañg-e-āsmāñ  kyā  thā
yahī  hastī  isī  hastī  ke  kuchh  TuuTe  hue  rishte
vagarna  aisā  parda  mere  un  ke  darmiyāñ  kyā  thā
tirā  baḳhshā  huā  dil  aur  dil  kī  ye  havas-kārī
mirā  is  meñ  qusūr  ai  dast-gīr-e-āsiyāñ  kyā  thā
agar  kuchh  roz  zinda  rah  ke  mar  jaanā  muqaddar  hai
to  is  duniyā  meñ  āḳhir  bā.is-e-taḳhlīq-e-jāñ  kyā  thā
ham  itne  fāsle  par  aa  ga.e  haiñ  ahd-e-māzī  se
ḳhabar  ye  bhī  nahīñ  ajdād  kā  nām-o-nishāñ  kyā  thā
kisī  barq-e-tajallī  par  zarā  sā  ġhaur  kar  lenā
agar  ye  jānñā  ho  ālam-e-rūh-e-'ravāñ  kyā  thā