ġharaz  rahbar  se  kyā  mujh  ko  gila  hai  jazb-e-kāmil  se
ki  jitnā  baḌh  rahā  huuñ  haT  rahā  huuñ  duur  manzil  se
sukūt-e-be-mahal  taqrīr-e-be-mauqa.a  kī  tohmat  kyuuñ
uThānā  ho  to  yuuñ  ham  ko  uThā  do  apnī  mahfil  se
ye  armān-e-taraqqī  aaj  hai  da.avā  ḳhudā.ī  kā
usī  dil  kā  jo  kal  tak  thā  lahū  kī  buuñd  mushkil  se
gul-o-lāla  pe  āḳhir  kar  rahā  hai  ġhaur  kyā  gulchīñ
ye  vo  ḳhuuñ  hai  jo  Tapkā  thā  kabhī  chashm-e-anādil  se
shab-e-mahtāb  dariyā  kā  kināra  aur  ye  sannāTā
tumheñ  is  saaz  par  ham  ḳhush  kareñge  naġhma-e-dil  se
ġhazab  hai  jal  ke  parvānoñ  kā  un  kī  bazm  meñ  kahnā
'ravāñ'  yā  yuuñ  fidā  ho  jaao  yā  uTh  jaao  mahfil  se