yūñhī  gar  har  saañs  meñ  thoḌī  kamī  ho  jā.egī
ḳhatm  rafta  rafta  ik  din  zindagī  ho  jā.egī
dekhne  vaale  faqat  tasvīr-e-zāhir  par  na  jā
har  nafas  ke  saath  duniyā  dūsrī  ho  jā.egī
gar  yahī  fasl-e-junūñ-zā  hai  yahī  abr-e-bahār
azmat-e-tauba  nisār-e-mai-kashī  ho  jā.egī
marg-e-be-hañgām  kahte  haiñ  jise  aaj  ahl-e-dard
kal  yahī  sūrat  badal  kar  zindagī  ho  jā.egī
zikr  hai  zindāñ  meñ  vo  gulzār  par  bijlī  girī
aaj  mere  āshiyāñ  meñ  raushnī  ho  jā.egī
sajda  gāh-e-ām  par  sajde  se  kuchh  hāsil  nahīñ
muft  ālūda  jabīn-e-bandagī  ho  jā.egī
ḳhatm  hai  shab  chehra-e-mashriq  se  uThtī  hai  naqāb
dam-zadan  meñ  raushnī  hī  raushnī  ho  jā.egī
muttasil  haiñ  zof  o  quvvat  kī  hadeñ  haañ  hoshyār
varna  is  tark-e-ḳhudī  meñ  ḳhud-kushī  ho  jā.egī
zaḳhm  bhī  taaza  hai  aur  dil  bhī  nahīñ  mānūs-e-dard
rafta  rafta  yūñhī  aadat  sabr  kī  ho  jā.egī
sham.a  sā  jab  shaam  hī  se  hai  gudāz-e-dil  'ravāñ'
sub.h  tak  kyā  jaane  kyā  hālat  tirī  ho  jā.egī