nikal  jaa.e  yūñhī  furqat  meñ  dam  kyā
na  hogā  aap  kā  mujh  par  karam  kyā
hañse  bhī  ro.e  bhī  lekin  na  samjhe
ḳhushī  kyā  chiiz  hai  duniyā  meñ  ġham  kyā
mubārak  zālimoñ  ko  zulm  ham  par
jo  apnā  hī  kiyā  hai  us  kā  ġham  kyā
miTā  jab  imtiyāz-e-kufr  o  īmāñ
makān-e-kāba  kyā  baitus-sanam  kyā
nahīñ  jab  quvvat-e-ehsās  dil  meñ
ġham-e-duniyā  surūr-e-jām-e-jam  kyā
guzar  hī  jā.eñge  ġhurbat  ke  din  bhī
kareñ  do  din  ko  ab  aḳhlāq  kam  kyā
mirī  bigḌī  huī  taqdīr  bhī  hai
tumhāre  turra-e-gesū  kā  ḳham  kyā
mirī  taqdīr  meñ  likkhā  hai  tū  ne
batā  ai  mālik-e-lauh  o  qalam  kyā
bhulā  degī  hameñ  do  din  meñ  duniyā
hamārī  shā.irī  kyā  aur  ham  kyā
har  ik  mushkil  ko  hal  kartī  hai  jab  maut
karūñ  aage  kisī  ke  sar  ko  ḳham  kyā
'ravāñ'  ke  dard  kā  aalam  na  pūchho
koī  yuuñ  hogā  mast-e-jām-e-jam  kyā