har  kisī  kuuñ  guzar-e-ishq  meñ  ānāñ  mushkil
raah  sīdhī  hai  vale  raah  kuuñ  pānāñ  mushkil
kis  tarah  kījiye  fikr-e-sharar-afshāni-e-ashk
jab  ki  paanī  meñ  lagī  aag  bujhānāñ  mushkil
ḳhuub  lagtī  hai  tire  chīra-e-nukdār  kī  saj
jis  tarah  dil  meñ  chubhī  hai  so  batānāñ  mushkil
phuul  mere  kuuñ  agar  phuul  kahūñ  bhūle  siiñ
phuul  kuuñ  phuul  ke  phūloñ  meñ  samānāñ  mushkil
ātishīñ-rū  siiñ  nihāñ  kyūñki  rakhūñ  soz-e-jigar
jaan  jaatā  hai  'sirāj'  ab  to  chhupānāñ  mushkil