Sarwar Alam Raz

kya tamasha dekhiye tahsil-e-la-hasil mein hai

Sarwar Alam Raz

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1935
kyā tamāshā dekhiye tahsīl-e-lā-hāsil meñ hai
ek duniyā kā mazā duniyā-e-āb-o-gil meñ hai
dekh ye jazb-e-mohabbat kā karishma to nahīñ
kal jo tere dil meñ thā vo aaj mere dil meñ hai
maiñ bhalā kis se kahūñ kyā kyā kahūñ kaise kahūñ
maut se pahle hī mar jaane kī ḳhvāhish dil meñ hai
mauj o shorish inqalāb o iztirāb o rust-o-ḳhez
hai mazā sāhil meñ kab jo dūrī-e-sāhil meñ hai
jhāñk kar dil meñ zarā ye to batā diije huzūr
merī qismat kā sitāra kaun sī manzil meñ hai
mujh ko bhātā hī nahīñ ik aañkh husn-e-kā.enāt
haañ magar vo jo tire ruḳhsār ke ik til meñ hai
kar diyā begāna-e-ġham-hā-e-duniyā ishq ne
mujh ko āsānī yahī to apnī is mushkil meñ hai
terā maazī haal se dast-o-garebāñ gir rahā
maiñ batātā huuñ jo 'sarvar' tere mustaqbil meñ hai
Top Urdushayar.com