Sarwar Alam Raz

DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla

Sarwar Alam Raz

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1935
DhūñDte DhūñDte ḳhud ko maiñ kahāñ jā niklā
ek parda jo uThā dūsrā parda niklā
manzar-e-zīst sarāsar tah-o-bālā niklā
ġhaur se dekhā to har shaḳhs tamāshā niklā
ek hī rañg kā ġham-ḳhāna-e-duniyā niklā
ġham-e-jānāñ bhī ġham-e-zīst kā saayā niklā
is rah-e-zīst ko ham ajnabī samjhe the magar
jo bhī patthar milā barsoñ kā shanāsā niklā
aarzū hasrat aur ummīd shikāyat aañsū
ik tirā zikr thā aur biich meñ kyā kyā niklā
ghar se nikle the ki ā.īna dikhā.eñ sab ko
lekin har aks meñ apnā hī sarāpā niklā
kyuuñ na ham bhī kareñ us naqsh-e-kaf-e-pā kī talāsh
sho.ala-e-tūr bhī to ek bahānā niklā
jī meñ thā baiTh ke kuchh apnī kaheñge 'sarvar'
tū bhī kam-baḳht zamāne kā satāyā niklā
Top Urdushayar.com