yak  nigah  señ  liyā  hai  vo  gulfām
kyā  ḳhirad  kyā  shakeb  kyā  ārām
haq  meñ  ushshāq  ke  qayāmat  hai
kyā  karam  kyā  itaab  kyā  dushnām
mujh  kuuñ  gul-gasht-e-bāġh-e-zindāñ  hai
sabza  zanjīr-o-shāḳh-e-sumbul-o-dām
mai-kashī  kuuñ  tirī  gulistāñ  meñ
sarv-e-mīnā  hai  daur-e-nargis-e-jām
vaqt  hai  ab  namāz-e-maġhrib  kā
chāñd  ruḳh  lab  shafaq  hai  gesū  shaam
aarzū  hai  jo  manzil-e-maqsūd
tark-e-matlab  hai  muddā-e-tamām
sidq-e-dil  señ  'sirāj'  bāñdhā  hai
ka.aba-e-kū-e-yār  kā  ehrām