nayan  kī  putlī  meñ  ai  sirījan  tirā  mubārak  maqām  distā
palak  ke  paT  khol  kar  jo  dekhūñ  to  mujh  kuuñ  māh-e-tamām  distā
parī  kī  majlis  meñ  tujh  kuuñ  zāhid  hanūz  parvāngī  nahīñ  hai
mai-e-mohabbat  kuuñ  nosh  kar  tuuñ  ki  ab  talak  mujh  kuuñ  ḳhaam  distā
sabhoñ  siiñ  mukh  moḌ  kar  mirā  dil  prit  ke  fan  meñ  huā  udāsī
namāz  jī  siiñ  niyāz  kī  paḌh  saf-e-junūñ  kā  imaam  dastā
agarche  har  sarv  rāst-qāmat  chaman  meñ  maġhrūr-e-sar-kashī  hai
muqābil  us  qadd-e-ḳhush-adā  ke  mirī  nazar  meñ  ġhulām  dastā
vo  shakkarīñ-lab  ne  gosh-e-dil  señ  tamām  sun  kar  yuuñ  reḳhta  kuuñ
kahā  vo  mīThe  bachan  señ  mujh  kuuñ  'sirāj'  shīrīñ  kalām  dastā