ḳhabar-e-tahayyur-e-ishq  sun  na  junūñ  rahā  na  parī  rahī
na  to  tū  rahā  na  to  maiñ  rahā  jo  rahī  so  be-ḳhabarī  rahī
shah-e-be-ḳhudī  ne  atā  kiyā  mujhe  ab  libās-e-barahnagī
na  ḳhirad  kī  baḳhiya-garī  rahī  na  junūñ  kī  parda-darī  rahī
kabhī  samt-e-ġhaib  siiñ  kyā  havā  ki  chaman  zuhūr  kā  jal  gayā
magar  ek  shāḳh-e-nihāl-e-ġham  jise  dil  kaho  so  harī  rahī
nazar-e-taġhāful-e-yār  kā  gila  kis  zabāñ  siiñ  bayāñ  karūñ
ki  sharāb-e-sad-qadah  aarzū  ḳhum-e-dil  meñ  thī  so  bharī  rahī
vo  ajab  ghaḌī  thī  maiñ  jis  ghaḌī  liyā  dars  nusḳha-e-ishq  kā
ki  kitāb  aql  kī  taaq  par  juuñ  dharī  thī  tyuuñ  hī  dharī  rahī
tire  josh-e-hairat-e-husn  kā  asar  is  qadar  siiñ  yahāñ  huā
ki  na  ā.īne  meñ  rahī  jilā  na  parī  kuuñ  jalvagarī  rahī
kiyā  ḳhaak  ātish-e-ishq  ne  dil-e-be-navā-e-'sirāj'  kuuñ
na  ḳhatar  rahā  na  hazar  rahā  magar  ek  be-ḳhatarī  rahī