is  but  ke  har  fareb  pe  qurbān  se  rahe
ik  umr  apne  miTne  ke  sāmān  se  rahe
us  jāñ-navāz  kūche  meñ  ham  bhī  rahe  magar
be-dil  kabhī  rahe  kabhī  be-jān  se  rahe
rindān-e-mai-kada  haiñ  ki  tañg  aa  ke  uTh  ga.e
yārān-e-mai-kada  haiñ  ki  anjān  se  rahe
us  meñ  chaman  kā  rañg  na  is  meñ  chaman  kā  ruup
ham  bū-e-gul  se  aaj  pareshān  se  rahe
lab  sī  liye  jo  ḳhanda-e-yārāñ  ke  ḳhauf  se
barsoñ  hamāre  siine  meñ  tūfān  se  rahe
ye  jaan  aisī  chiiz  hai  kyā  phir  bhī  ham-nashīñ
ham  un  pe  jaan  de  ke  pashemān  se  rahe
gulshan  meñ  josh-e-gul  to  bagūla  haiñ  dasht  meñ
ahl-e-junūñ  jahāñ  bhī  rahe  aan  se  rahe