Moin Ahsan Jazbi

kitni bulandiyon pe sar-e-dar aae hain

Moin Ahsan Jazbi

Mubarakpur, Uttar pradesh, India

1912-2005

kitnī bulandiyoñ pe sar-e-dār aa.e haiñ

kis ma.arka meñ ahl-e-junūñ haar aa.e haiñ

ghabrā uThe haiñ zulmat-e-shab se to bār-hā

naale hamāre lab pe sharar-bār aa.e haiñ

ai qissa-go azal se jo biitī hai vo sunā

kuchh log tere fan ke parastār aa.e haiñ

paa.ī guloñ se ābla-pā.ī jab na daad

dīvāne haiñ ki sū-e-lab-e-ḳhār aa.e haiñ

ġham-ḳhvāriyoñ tah meñ dabī masarrateñ

yuuñ mere paas bhī mire ġham-ḳhvār aa.e haiñ

pahuñche haiñ jab bhī ḳhalvat-e-dil meñ to ai nadīm

akasr ham apne-āp se bezār aa.e haiñ

us bazm meñ to mai kahīñ zikr tak na thā

aur ham vahāñ se be-ḳhud o sarshār aa.e haiñ

Top Urdushayar.com