shamīm-e-zulf  o  gul-e-tar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
dimāġh-e-ishq  mo.attar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
ġham-e-hayāt  bajā  hai  magar  ġham-e-jānāñ
ġham-e-hayāt  se  baḌh  kar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
haqīqat-e-ġham-e-daurāñ  ke  saath  ai  nāseh
fareb-e-shīsha-o-sāġhar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
rah-e-vafā  meñ  dil  o  jaañ  nisār  kar  jaa.eñ
agar  ye  apnā  muqaddar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
azāb-e-dard  pe  nāzāñ  haiñ  ahl-e-dard  magar
nashāt-e-dard  mayassar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
ye  kah  ke  chhoḌ  dī  rāh-e-ḳhirad  mire  dil  ne
qadam  qadam  pe  jo  Thokar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
vo  harf  jis  se  hai  mansūr  o  daar  ko  nisbat
lab-e-junūñ  pe  mukarrar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ
nasīm  ban  ke  ham  aa.e  haiñ  is  gulistāñ  meñ
kalī  kalī  jo  gul-e-tar  nahīñ  to  kuchh  bhī  nahīñ