Rifat-al-Qasmi

kahan pe lai hai meri KHudi kahan se mujhe

Rifat-al-Qasmi

Munger, Bihar, India

1934
kahāñ pe laa.ī hai merī ḳhudī kahāñ se mujhe
na apne dil se ġharaz hai na apnī jaañ se mujhe
na is jahān se nisbat na us jahāñ se mujhe
bas ek rabt hai duniyā-e-be-nishāñ se mujhe
shu.ūr-e-zīst milā fikr-e-do-jahāñ se mujhe
matā-e-dard milī dil ke āstāñ se mujhe
qarār-e-jāñ na banī apnī hasti-e-mauhūm
gilā yahī hai tirī umr-e-jāvedāñ se mujhe
ye ho rahe haiñ sar-e-arsh tazkire kis ke
ye kis ne aaj bulāyā hai jism-o-jāñ se mujhe
zarā sambhalne to de ai jahān-e-kam-āsār
ḳhud-āgahī ne girāyā hai āsmāñ se mujhe
payambarī ke evaz maiñ ne shā.irī kī hai
ye hausla to milā us ke āstāñ se mujhe
Top Urdushayar.com