jaan  o  dil  siiñ  maiñ  giraftār  huuñ  kin  kā  un  kā
banda-e-be-zar-o-dīnār  huuñ  kin  kā  un  kā
sabr  ke  baaġh  ke  manDve  se  jhaḌā  huuñ  jiyūñ  phuul
ab  to  lāchār  gale  haar  huuñ  kin  kā  un  kā
hauz-e-kausar  kī  nahīñ  chāh-e-zanaḳhdāñ  kī  qasam
tishna-e-sharbat-e-dīdār  huuñ  kin  kā  un  kā
lab-o-ruḳhsār  ke  gul-qand  siiñ  lāzim  hai  ilaaj
dil  ke  āzār  siiñ  bīmār  huuñ  kin  kā  un  kā
muddateñ  huiiñ  ki  huā  ḳhāna-e-zanjīr  ḳharāb
basta-e-zulf-e-girah-dār  huuñ  kin  kā  un  kā
tishna-e-marg  kuuñ  hai  āb-e-surāhī  dam-e-teġh
bismil-e-abrū-e-ḳhamdār  huuñ  kin  kā  un  kā
nāhaq  is  sañg-dilī  siiñ  mujhe  dete  haiñ  shikast
maiñ  to  ā.īna-e-sarkār  huuñ  kin  kā  un  kā
gulshan-e-vasl  meñ  rahtā  huuñ  ġhazal-ḳhvān-e-firāq
andalīb-e-gul-e-ruḳhsār  huuñ  kin  kā  un  kā
maiñ  kahā  rahm  patañgoñ  pe  kar  ai  jān-e-'sirāj'
tab  kahā  sham-e-shab-tār  huuñ  kin  kā  un  kā