sīna-sāfī  kī  hai  jise  ainak
us  kuuñ  dīdār-e-yār  hai  be-shak
safha-e-dil  kuuñ  daaġh  kī  kar  mohr
ishq  ke  shaah  ne  diyā  dastak
rahzan-e-aql  siiñ  nahīñ  visvās
huuñ  himāyat  meñ  ishq  kī  jab  tak
bul-havas  soz-e-dil  kuuñ  kyā  jaane
na  jale  hargiz  aag  meñ  abrak
ġhair  kā  naqsh  ġhair-e-naqsh-nigār
safha-e-dil  satī  kiyā  huuñ  hak
shor  hai  bas  ki  tujh  malāhat  kā
dil  hamārā  huā  hai  kān-e-namak
gar  jalā  chāhtā  hai  misl-e-'sirāj'
ai  dil  us  sho.ala-rū  kī  dekh  jhalak