Siraj Aurangabadi

simab jal gaya to use gard boliye

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
sīmāb jal gayā to use gard boliye
āshiq fanā huā to use mard boliye
sharbat kuuñ ḳhūn-e-dil ke piyo zahr kā sā ghūñT
aisā tabīb kaañ hai jise dard boliye
hai kyā kitāb-e-matla-e-anvār ruḳh tirā
sūraj kuuñ jis kā yak varq-e-zard boliye
jiyūñ bū hue haiñ mahv har yak rañg-e-gul meñ ham
ai bulbulo sadā-e-anal-vard boliye
albatta hove matl.a-e-dīvān āftāb
tujh husn kī sifat meñ agar fard boliye
baazī hai jaan hijr hai haar aur visāl jiit
ġham hai bisāt-e-dil kuuñ mire nard boliye
hai aag āshiqoñ kā dam-e-sard ai 'sirāj'
aur aag kī lapaT kuuñ dam-e-sard boliye
Top Urdushayar.com