sīmāb  jal  gayā  to  use  gard  boliye
āshiq  fanā  huā  to  use  mard  boliye
sharbat  kuuñ  ḳhūn-e-dil  ke  piyo  zahr  kā  sā  ghūñT
aisā  tabīb  kaañ  hai  jise  dard  boliye
hai  kyā  kitāb-e-matla-e-anvār  ruḳh  tirā
sūraj  kuuñ  jis  kā  yak  varq-e-zard  boliye
jiyūñ  bū  hue  haiñ  mahv  har  yak  rañg-e-gul  meñ  ham
ai  bulbulo  sadā-e-anal-vard  boliye
albatta  hove  matl.a-e-dīvān  āftāb
tujh  husn  kī  sifat  meñ  agar  fard  boliye
baazī  hai  jaan  hijr  hai  haar  aur  visāl  jiit
ġham  hai  bisāt-e-dil  kuuñ  mire  nard  boliye
hai  aag  āshiqoñ  kā  dam-e-sard  ai  'sirāj'
aur  aag  kī  lapaT  kuuñ  dam-e-sard  boliye