zulf-e-mushkīn-e-yār  qahrī  hai
kyā  qayāmat  kā  naag  zahrī  hai
dhuup  siiñ  ġham  kī  tāzgī  hai  use
dil  nahīñ  hai  gul-e-do-pahrī  hai
zākir-e-ġham  kuuñ  dil  ke  halqe  meñ
nāla-o-āh  zikr-e-jahrī  hai
dāman-e-yār  nahīñ  kanārī-dār
saf.ha-e-jadval-e-sunahrī  hai
vahshī-e-dasht-e-be-ḳhudī  hai  'sirāj'
garche  aalam  ke  nizd  shahrī  hai