mujh  par  ai  mahram-e-jāñ  parda-e-asrār  kuuñ  khol
ḳhvāb-e-ġhaflat  señ  uThā  dīda-e-bedār  kuuñ  khol
dil  kuuñ  ab  dāman-e-sahrā-e-junūñ  yaad  aayā
aql  ke  daam  señ  us  said-e-giraftār  kuuñ  khol
ai  nasīm-e-saharī  bū-e-mohabbat  le  aa
turra-e-yār  satī  itr  kī  mahkār  kuuñ  khol
aarzū  hai  mirī  āñkhoñ  señ  ravāñ  hoeñ  aañsū
nashtar-e-ġham  señ  rag-e-abr-e-guhar-bār  kuuñ  khol
maiñ  ḳharīdār  huuñ  de  jins-e-junūñ  ḳhātir-ḳhvāh
ai  ġham-e-qāfila-sālār  Tuk  is  baar  kuuñ  khol
qafas-e-ġham  meñ  dil-afsurda  rahūñgā  kab  tak
naġhma-e-shauq  señ  mere  lab-e-guftār  kuuñ  khol
qissa-e-dard  kuuñ  anjām  nahīñ  misl-e-'sirāj'
ġham  ke  daftar  kuuñ  lapeT  aah  ke  tūmār  kuuñ  khol