kāfir  huā  huuñ  rishta-e-zunnār  kī  qasam
tujh  zulf-e-halqa-dār  ke  har  taar  kī  qasam
hargiz  marīz-e-hijr  kuuñ  bin  vasl  nahīñ  ilaaj
us  ḳhush-adā  kī  nargis-e-bīmār  kī  qasam
us  gul-badan  ke  kākul-e-pur-pech  kā  ḳhayāl
zunnār  mujh  gale  kā  huā  haar  kī  qasam
tere  bhañvoñ  kī  yaad  ne  TukḌe  kiyā  hai  dil
hai  zul-fiqār  haidar-e-karrār  kī  qasam
ummīd-vār-e-chāh-e-zanaḳhdān-e-yār  huuñ
maiñ  tishna-lab  huuñ  sharbat-e-dīdār  kī  qasam
darkār  gar  hinā  hai  mujh  āñkhoñ  meñ  rakh  qadam
hai  tujh  kuuñ  mere  dīda-e-ḳhūñ-bār  kī  qasam
yakjā  hue  haiñ  bulbul  o  parvāna  ai  'sirāj'
us  sham.a-rū  ke  chīra-e-gulnār  kī  qasam