jo  tujhe  dekh  ke  mab.hūt  huā
ḳhūn-e-dil  us  ko  sadā  quut  huā
jo  muā  dekh  tire  aariz  kuuñ
shāḳh-e-gul  kā  use  tābūt  huā
jo  uThā  majlis-e-nāsotī  meñ
mahram-e-ḳhalvat-e-lāhūt  huā
nok-e-mizhgān-e-sanam  haq  meñ  mire
tez  juuñ  neza-e-rajpūt  huā
ashk-e-ḳhūnīñ  shab-e-hijrāñ  kā  'sirāj'
roġhan-e-sho.ala-e-yāqūt  huā