hai  jumbish-e-mizhgāñ  meñ  tirī  tiir  kī  āvāz
is  tiir  meñ  hai  said  kī  takbīr  kī  āvāz
mushtāq  huuñ  tujh  lab  kī  fasāhat  kā  va-lekin
'rāñjhā'  ke  nasīboñ  meñ  kahāñ  hiir  kī  āvāz
tū  ḳhusrav-e-ḳhūbāñ  hai  ki  le  hind  siiñ  tā  rome
pahuñchī  hai  tire  husn-e-jahāñgīr  kī  āvāz
hairat  ke  maqāmāt  meñ  qānūn-e-navā  nahīñ
hai  sāz-e-ḳhamoshī  lab-e-tasvīr  kī  āvāz
dīvāne  kuuñ  mat  shor-e-junūñ  yaad  dilāo
hargiz  na  sunāo  use  zanjīr  kī  āvāz
piitā  huuñ  judā.ī  meñ  tirī  ghūñT  lahū  kī
sun  ġhuncha-dahan  āshiq-e-dil-gīr  kī  āvāz
ai  jān-e-'sirāj'  aa  ke  patañgoñ  kī  ḳhabar  liyo
sun  jaao  mire  nāla-e-shab-gīr  kī  āvāz