Siraj Aurangabadi

ishq mein awwal fana darkar hai

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
ishq meñ avval fanā darkār hai
dil siiñ tark-e-mā-sivā darkār hai
tark-e-maqsad ain maqsad hai use
jis kuuñ dil kā mudda.ā darkār hai
dil ba-tañg aayā hai ab lāzim hai aah
ġhuncha-e-gul kuuñ sabā darkār hai
zaḳhmī-e-ġham kyuuñ na khīñche āh-e-dard
halq-e-bismil kuuñ sadā darkār hai
vasf zulf-e-yār kā āsāñ nahīñ
rishta-e-fikr-e-rasā darkār hai
hai lab-e-sāqī meñ chashma ḳhizr kā
gar tujhe āb-e-baqā darkār hai
rañg merā kān-e-zar hai ai sanam
mujh siiñ aa mil gir talā darkār hai
gosha-e-abrū dikhā ai qibla-rū
mujh kuuñ mehrāb-e-duā darkār hai
dil raqīboñ kā jalāne ai 'sirāj'
ātishīñ-rū dilrubā darkār hai
Top Urdushayar.com