Jurat Qalandar Bakhsh

hamein dekhe se wo jita hai aur hum us pe marte the

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
hameñ dekhe se vo jiitā hai aur ham us pe marte the
yahī rāteñ thiiñ aur bāteñ thiiñ vo din kyā guzarte the
vo soz-e-dil se bhar laatā thā ashk-e-surḳh ā.ankhoñ meñ
agar ham jī kī bechainī se āh-e-sard bharte the
kisī dhaḌke se rote the jo bāham vasl kī shab ko
vo ham ko man.a kartā thā ham us ko man.a karte the
milī rahtī thiiñ āñhkeñ ġhalba-e-ulfat se aapas meñ
na ḳhauf us ko kisī kā thā na ham logoñ se Darte the
so ab sad-haif us ḳhurshīd-rū ke hijr meñ 'jur.at'
yahī rāteñ haiñ aur bāteñ haiñ vo din kyā guzarte the
Top Urdushayar.com