dil  ko  ai  ishq  sū-e-zulf-e-siyah-fām  na  bhej
rahzanoñ  meñ  tū  musāfir  ko  sar-e-shām  na  bhej
dekh  ho  jā.ūñgā  ġhairoñ  ke  gale  kā  maiñ  haar
haar  phūloñ  ke  tū  ai  shoḳh-gul-andām  na  bhej
bhar  nazar  sūrat-e-gul  dekh  to  leñ  ai  be-dard
haa.e  sayyād  abhī  ham  ko  tah-e-dām  na  bhej
jab  vo  bheje  hai  mujhe  mai  to  kaheñ  haiñ  yuuñ  ġhair
ye  bahak  jā.egā  bas  aur  ise  jaam  na  bhej
bhejūñ  us  paas  jo  qāsid  ko  dobāra  to  kahe
baaz  āyā,  nahīñ  lene  kā  maiñ  in.aam  na  bhej
kūcha-e-yār  meñ  pahuñche  haiñ  to  bas  rahne  de
jīte-jī  yaañ  se  kahīñ  gardish-e-ayyām  na  bhej
dam-ba-dam  bheje  hai  quliyāñ  hī  ko  kyā  muñh  se  lagā
lab  se  bhī  lab  ko  milā  bosa-ba-paiġhām  na  bhej
ba.ad  muddat  ke  tujhe  paayā  hai  tanhā  ba-ḳhudā
aaj  tū  kaam  ko  yaañ  se  but-e-ḳhud-kām  na  bhej
de  kabhī  bosa-e-chashm-o-lab-e-jāñ-baḳhsh  bhī  jaañ
sirf  sauġhāt  hameñ  bosa-ba-paiġhām  na  bhej
gāliyāñ  to  haiñ  mohabbat  kī  ibārat  pyāre
kab  maiñ  kahtā  huuñ  ki  likh  kar  mujhe  dushnām  na  bhej
par  ye  dhaḌkā  hai  ki  jaave  na  kahīñ  ḳhat  pakḌā
kar  ke  sar-nāme  pe  tahrīr  mirā  naam  na  bhej
'jur.at'  ab  tujh  se  vo  rūThā  to  manā  kyūñki  maiñ  lā.ūñ
tū  hī  phir  dene  lagegā  mujhe  ilzām  na  bhej