dil  meñ  ḳhayālāt-e-rañgīñ  guzarte  haiñ  jiyūñ  boss  phūloñ  ke  rañgoñ  meñ  rahiye
vahshat  ke  jañgal  meñ  kab  lag  pareshāñ  ho  ġham  ke  bhāroñ  ke  sañgoñ  meñ  rahiye
jo  koī  ki  hai  dasht  vahshat  kā  sākin  use  hosh  ke  shahriyoñ  se  hai  nafrat
ye  dīvāngī  kā  nipaT  ḳhuub  aalam  hai  zanjīr  kī  jā  ulañgoñ  meñ  rahiye
pindār-e-hastī  señ  vahmī  ḳhayāloñ  ne  kasrat  kī  tohmat  lagā.e  haiñ  nāhaq
dar-asl  meñ  josh-e-tūfān-e-vahdat  hai  jiyūñ  mauj-e-dariyā  umañgoñ  meñ  rahiye
is  sarv-qāmat  ke  josh-e-mohabbat  meñ  az-bas  ki  āzād  sab  señ  huā  huuñ
mānind-e-qumrī  badan  kuuñ  lagā  rā  kah  yaahū  ke  dam  bhar  malañgoñ  meñ  rahiye
nāhaq  'sirāj'  āh-e-hasrat  kī  ātish  señ  har  dam  meñ  sau  baar  jumbāñ  sabab  kiyā
yakbār  sho.ale  pe  girne  kī  tarhoñ  kuuñ  ma.alūm  karne  patañgoñ  meñ  rahiye