yaad  kar  vo  husn-e-sabz  aur  añkhḌiyāñ  matvāliyāñ
kāTte  haiñ  ro  hī  ro  sāvan  kī  rāteñ  kāliyāñ
shab  tasavvur  bāñdh  kar  us  jumbish-e-mizhgāñ  kā  vaah
ḳhud-baḳhud  kis  kis  maze  se  ham  ne  chhaḌiyāñ  khā  liyāñ
dekheñ  kyā  un  kī  lachak  us  sā.ad-e-nāzuk  baġhair
khīñchtī  haiñ  kyuuñ  hameñ  kāñToñ  meñ  gul  kī  Dāliyāñ
kuchh  na  kuchh  kar  baiThtā  huuñ  baat  us  ke  bar-ḳhilāf
tā  kisī  sūrat  vo  de  jhuñjhlā  ke  mujh  ko  gāliyāñ
mah  asīr-e-hāla  us  kā  dekh  baalā  kyuuñ  na  ho
ḳhanda-zan  hoñ  mahr  par  jis  kī  jaḌāv-bāliyāñ
shab  ko  jo  us  kā  tasavvur  bañdh  gayā  to  ham  ne  bas
us  ke  mukhḌe  kī  balā.eñ  sub.h  tak  kyā  kyā  liyāñ
vaqt-e-iz.hār-e-vafā  mahfil  meñ  us  kī  jis  se  aañkh
mil  ga.ī  to  bas  vo  sab  bāteñ  usī  par  Dhāliyāñ
barg-e-gul  un  ko  kahūñ  yā  pāra-e-yāqūt  vaah
dekhiyo  bin  paan  khaa.e  un  laboñ  kī  lāliyāñ
kūcha-e-qātil  ko  gar  musalaḳh  kahūñ  to  hai  bajā
jab  na  tab  dekho  to  bahtī  haiñ  lahū  kī  nāliyāñ
ḳhūn-e-dil  āñkhoñ  meñ  bhar  aatā  hai  jab  aatī  hai  yaad
vo  mai-e-gul-rañg  kī  bhar  bhar  ke  denī  pyāliyāñ
tāk-jhāñk  us  kī  kahūñ  kyā  maiñ  ki  tiflī  meñ  bhī  thiiñ
us  ke  hāthoñ  ghar  kī  dīvāroñ  meñ  har  sū  jāliyāñ
kaash  'jur.at'  vasl  kā  din  hove  jaldī  se  nasīb
hijr  kī  to  khaa.e  jaatī  haiñ  ye  rāteñ  kāliyāñ