ham  to  kahte  the  dam-e-āḳhir  zarā  sustā  na  jā
le,  chale  ham  jaan  se,  muḳhtār  hai  ab  jā  na  jā
le  dil-e-betāb  aatā  hai  vo  kar  le  arz-e-hāl
dekhte  hī  us  kī  sūrat  is  qadar  ghabrā  na  jā
tañg  ho  kar  kis  adā  se  vasl  kī  shab  ko  vo  shoḳh
mujh  se  kahtā  thā  ki  he  he  is  qadar  lipTā  na  jā
paas  aanā  gar  nahīñ  manzūr  to  aa  aa  ke  shakl
az-rah-e-shoḳhī  mujhe  tū  duur  se  dikhlā  na  jā
jā.ūñ  jā.ūñ  kyā  kahe  hai  bas  laḌā.ī  ho  chukī
pyaar  se  mere  gale  ab  jān-e-jāñ  lag  jā  na  jā
kyā  samāñ  rakhtā  hai  vo  mahfil  se  uThnā  yaar  kā
aur  ishāroñ  se  mirā  kahnā  ki  aa  jānā,  na  jā
kahte  haiñ  aatā  hai  vo  ai  jaan  bar-lab-āmada
tū  ḳhudā  ke  vāste  Tuk  aur  bhī  rah  jā  na  jā
ruuTh  kar  jab  mujh  se  vo  jaatā  hai  to  kar  zabt-e-āh
pahle  to  kahtā  huuñ  maiñ  ''tū  jaan  ab  jā  yā  na  jaa''
lek  uTh  kar  jab  vo  jaatā  hai  to  be-tābī  se  maiñ
vuuñ  hī  kahtā  huuñ  ''tire  qurbān  jā.ūñ  aa,  na  jaa''
loTtā  hai  'jur.at'-e-betāb  jaane  se  tire
yuuñ  use  taḌpā  ke  tū  ai  shoḳh-e-be-parvā,  na  jā