Jurat Qalandar Bakhsh

matlab ki kah sunaun kisi baat mein laga

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
matlab kī kah sunā.ūñ kisī baat meñ lagā
rahtā huuñ roz-o-shab meñ isī ghaat meñ lagā
mahfil meñ muztarib sā jū dekhā mujhe to bas
kahne kisī se kuchh vo ishārāt meñ lagā
hote hī vasl kuchh ḳhafaqāñ sā use huā
dhaḌkā ye be-tarah kā mulāqāt meñ lagā
kal raat ham se us ne to pūchhī na baat bhī
ġhairoñ kī yaañ talak vo mudārāt meñ lagā
aayā hai abr ghir ke ab aane meñ sāqiyā
tū bhī na der mausam-e-barsāt meñ lagā
masjid meñ sar-ba-sajda hue ham to kyā ki hai
kam-baḳht dil to bazm-e-ḳharābāt meñ lagā
ghaTTe pe apne māthe ki nāzāñ jo ab hue
ye daaġh shaiḳh-jī ke karāmāt meñ lagā
gar mujh ko kārḳhāna-e-taqdīr meñ ho daḳhl
roz-e-qayām vasl kī duuñ raat meñ lagā
parvāz tā-ba-arsh agar tū ne kī to kyā
sayyād-e-marg hai tirī nit ghaat meñ lagā
vaqt-e-aḳhīr aa.e tire kaam jo dilā
ab dhyān-gyān apnā us auqāt meñ lagā
'jur.at' hamārī baat pe aayā na yaañ tū aah
kyā jāniye kisī kī vo kis baat meñ lagā
Top Urdushayar.com