Jurat Qalandar Bakhsh

chheDne hum ko yar aaj aaya

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
chheḌne ham ko yaar aaj aayā
baare kuchh chahl par mizāj aayā
taḳht shāhī kā kis ko bhātā hai
ḳhush hameñ faqr hī kā taaj aayā
kisht-e-dil fauj-e-ġham ne kī tārāj
tis pe tū māñgne ḳhirāj aayā
tū ne kyā kyā use ba-tañg kiyā
le ke tujh tak jo ehtiyāj aayā
kī davā dard-e-dil kī bahuterī
raas koī na par ilaaj aayā
mar gayā kal hī 'jur.at'-e-bīmār
tū ayādat ko us kī aaj aayā
Top Urdushayar.com