kis  jā  na  be-qarārī  se  maiñ  ḳhasta-tan  gayā
par  dekhne  kā  us  ke  kahīñ  Dhab  na  ban  gayā
kis  kis  tarah  kī  kī  ḳhafagī  dil  ne  mujh  se  aah
rūThā  kisī  kā  yaar  kisī  se  jo  man  gayā
yaaro  jahāñ  meñ  ab  kahīñ  dekhī  vafā  kī  chaal
jaane  do  ye  na  zikr  karo  vo  chalan  gayā
sausan  zabāñ  nikāle  jo  niklī  to  zer-e-ḳhāk
kyā  jāniye  ki  kaun  ye  tishna-dahan  gayā
ai  ishq  sach  to  ye  hai  ki  shīrīñ  ne  kuchh  na  kī
hasrat  kā  koh  dil  pe  liye  kohkan  gayā
bas  nāsehā  ye  tīr-e-malāmat  kahāñ  talak
bātoñ  se  terī  aah  kalejā  to  chhan  gayā
kal  us  sanam  ke  kūche  se  niklā  jo  shaiḳh-e-vaqt
kahte  the  sab  idhar  se  ajab  barhaman  gayā
paidā  ye  hijr-e-yār  meñ  vahshat  huī  ki  aah
is  dil  kā  vasl  meñ  bhī  na  dīvāna-pan  gayā
hairāñ  hai  tujh  ko  dekh  ke  'jur.at'  mirī  to  aql
do  chaar  din  meñ  kyā  ye  tirā  haal  ban  gayā