go  huuñ  vahshī  pa  tire  dar  se  na  Tal  jā.ūñgā
haañ  magar  dasht-e-adam  hī  ko  nikal  jā.ūñgā
tā.ir-e-nāma-bar  apnā  yahī  kahtā  hai  ki  aah
raqam-e-shauq  kī  garmī  se  maiñ  jal  jā.ūñgā
jald  ai  kaash  jatāve  use  joban  us  kā
phir  ho  kis  kaam  ke  tum  jab  ki  maiñ  Dhal  jā.ūñgā
aaj  go  us  ne  ba-rusvā.ī  nikālā  mujh  ko
gar  yahī  dil  hai  to  phir  aap  se  kal  jā.ūñgā
mashvara  kar  ke  ye  dil  kūcha-e-jānāñ  ko  chalā
azm  to  laane  kā  kiijo  maiñ  machal  jā.ūñgā
gar  yahī  ātish-e-ulfat  hai  to  mānind-e-sipand
aah  meñ  mujmir  hastī  se  uchhal  jā.ūñgā
nau-giraftār-e-mohabbat  huuñ  mirī  vaz.a  se  tum
itnā  ghabrāo  na  pyāre  maiñ  sambhal  jā.ūñgā
vaa.e  qismat  kahe  jab  sabr  sā  mūnis  ye  baat
tujh  pe  dekhūñgā  burā  vaqt  to  Tal  jā.ūñgā
jald  ḳhū  apnī  badal  varna  koī  kar  ke  tilism
aa  ke  dil  apnā  tire  dil  se  badal  jā.ūñgā
jī  kahīñ  tū  na  phañsā  varna  tire  daam  se  maiñ
āb-e-ġhirbāl  kī  mānind  nikal  jā.ūñgā
juuñ  hinā  apne  vo  qadmoñ  se  na  lagne  deñge
is  tamannā  meñ  agar  ḳhaak  meñ  ral  jā.ūñgā
jaate  jaate  kaf-e-afsos  isī  hasrat  meñ
ashk  bhar  lā  ke  dam-e-naz.a  bhī  mal  jā.ūñgā
jin  ke  nazdīk  hai  andāz-e-ġhazal  'mīr'  pe  ḳhatm
un  ko  'jur.at'  maiñ  sunāne  ye  ġhazal  jā.ūñgā