Jurat Qalandar Bakhsh

har-chand bhare dil mein hain lakhon hi gile par

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
har-chand bhare dil meñ haiñ lākhoñ hī gile par
kyā kahiye ki khultā nahīñ muñh vaqt mile par
be-dard vo aisā hai ki marham kī jagah haa.e
chhiḌke hai namak mere har ik zaḳhm chhile par
tā dil ko na vāshud ho to kyā lutf mile haa.e
khiltī hai jo bū ġhuncha-e-gul kī to khile par
mash.hūr javānī meñ ho vo kyuuñ na jagat-bāz
mailān-e-tabī.at thā laḌakpan se zile par
ham gulshan-e-hairat meñ haiñ parvāz kahāñ kī
juuñ bulbul-e-tasvīr kabhī Tuk na hile par
sun vasf-e-dahan dījiye kuchh muñh se piyāre
mujh shā.er-e-muflis kī hai guzrān sile par
kis muñh se bayāñ kījiye vo lutf ki 'jur.at'
dushnām jo vaañ miltī haiñ Tuk aañkh mile par
Top Urdushayar.com