ai  dil-e-be-adab  us  yaar  kī  saugand  na  khā
tuuñ  har  ik  baat  meñ  dildār  kī  saugand  na  khā
rūh-e-chandr-badan  ai  bul-havas  āzurda  na  kar
ḳhuub  nahīñ  turbat-e-mahyār  kī  saugand  na  khā
ye  adā  sarv  meñ  zinhār  nahīñ  ai  qumrī
yaar  ke  qāmat  o  raftār  kī  saugand  na  khā
ḳhauf  kar  ḳhat  kī  siyāhī  satī  ai  va.ada-ḳhilāf
har  ghaḌī  mus.haf-e-ruḳhsār  kī  saugand  na  khā
apnī  āñkhoñ  kī  qasam  khā  ki  liyā  nahīñ  maiñ  ne
jaan  le  kar  dil-e-bīmār  kī  saugand  na  khā
pech  de  de  ke  mire  dil  kuuñ  pareshāñ  to  kyā
nāhaq  us  zulf-e-girah-dār  kī  saugand  na  khā
taab  us  ruḳh  kī  tajallī  kī  nahīñ  tujh  kuuñ  'sirāj'
tuuñ  abas  shola-e-dīdār  kī  saugand  na  khā