Jurat Qalandar Bakhsh

ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
ai dilā ham hue pāband-e-ġham-e-yār ki tū
ab aziyyat meñ bhalā ham haiñ giraftār ki tū
ham to kahte the na āshiq ho ab itnā to batā
jā ke ham rote haiñ pahroñ pas-e-dīvār ki tū
haath kyuuñ ishq-e-butāñ se na uThāyā tū ne
kaf-e-afsos ham ab malte haiñ har baar ki tū
vahī mahfil hai vahī log vahī hai charchā
ab bhulā baiThe haiñ ham shakl-e-gunahgār ki tū
ham to kahte the ki lab se na lagā sāġhar-e-ishq
mai-e-andoh se ab ham hue sarshār ki tū
be-jagah jī kā phañsānā tujhe kyā thā darkār
ta.an o tashnī.a ke ab ham haiñ sazā-vār ki tū
vahshat-e-ishq burī hotī hai dekhā nādāñ
ham chale dasht ko ab chhoḌ ke ghar-bār ki tū
ātish-e-ishq ko siine meñ abas bhaḌkāyā
ab bhalā khīñchūñ huuñ maiñ āh-e-sharar-bār ki tū
ham to kahte the na hamrāh kisī ke lag chal
ab bhalā ham hue rusvā sar-e-bāzār ki tū
ġhaur kiije to ye mushkil hai zamīñ ai 'jur.at'
dekheñ ham is meñ kaheñ aur bhī ash.ār ki tū
Top Urdushayar.com