hai  dil  meñ  ḳhayāl-e-gul-e-ruḳhsār  kisī  kā
dāġhoñ  siiñ  mohabbat  ke  hai  gulzār  kisī  kā
jaatā  hai  mirā  jaan  nipaT  pyaas  lagī  hai
mañgtā  huuñ  zarā  sharbat-e-dīdār  kisī  kā
sab  par  hai  karam  mujh  pe  sitam  kyā  hai  do-rañgī
dildār  kisī  kā  hai  dil-āzār  kisī  kā
zanjīr  bhalī  qaid  bhalī  maut  bhī  jyūñ-tyūñ
pan  haq  na  kare  kis  kuuñ  giraftār  kisī  kā
maiñ  huuñ  to  divāna  pa  kisī  zulf  kā  na.iiñ  huuñ
vallāh  ki  rakhtā  nahīñ  yak  taar  kisī  kā
yak  dam  to  ham-āġhosh  karo  ai  gul-e-ḳhūbī
ho  jā.ūñgā  ab  na.iiñ  to  gale  haar  kisī  kā
jhuktā  hai  zarā  baad  ke  chalne  meñ  zamīñ  par
nargis  hai  magar  baaġh  hai  bīmār  kisī  kā
laatī  hai  ḳhabar  yaar  kī  mauj-e-dam-e-shamshīr
kaarī  hai  magar  dil  meñ  mire  vaar  kisī  kā
har  raat  'sirāj'  ātish-e-ġham  meñ  na  jale  kyuuñ
parvāna-e-jāñ-soz  hai  balhār  kisī  kā