Jurat Qalandar Bakhsh

lab o dandan ka tumhaare jo hai dhyan aaTh pahar

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
lab o dandāñ kā tumhāre jo hai dhyāñ aaTh pahar
nahīñ lagtī mirī taalū se zabāñ aaTh pahar
ravish-e-sair vo gulshan meñ jo Tuk jā baiThe
bulbuleñ gul ke uThāyā kareñ kaañ aaTh pahar
dar se ab nikle vo kyuuñ us ko to ye hai manzūr
ki nikaltī hī kisī kī rahe jaañ aaTh pahar
kyūñ-ki ḳhūñ-rez rahe tez na vo teġh-e-nigāh
sañg-e-surma se chaḌhā kartī hai saañ aaTh pahar
kahte haiñ sab tire āshiq ko ki shāyad ai vaa.e
hai giraftār-e-musībat ye javāñ aaTh pahar
dil ke lagne se ye dekhā ki lage rahte ham aah
ḳhud-baḳhud muztarib-ul-hāl nadāñ aaTh pahar
jis kā hai dhyān hameñ us ko bhī apnā hai ḳhayāl
vaa.e ġhaflat ki ye ham ko hai gumāñ aaTh pahar
husn-e-ḳhūbī-e-butāñ kuchh na adā ho ba-ḳhudā
kiije gar laakh baras tak ye bayāñ aaTh pahar
turfa us jins-e-mohabbat kā bhī saudā dekhā
suud meñ jis ke rahe ḳhauf-e-ziyāñ aaTh pahar
jab se hai ham se judā aah vo rashk-e-mah-o-mahr
muñh lapeTe haiñ bas aur hai yahī dhyāñ aaTh pahar
raat ko raat samajhte haiñ na ham din ko din
apnī āñkhoñ meñ hai tārīk jahāñ aaTh pahar
in dinoñ aap meñ tujh ko kabhī paate hī nahīñ
kis kā rahtā hai ye 'jur.at' tujhe dhyāñ aaTh pahar
Top Urdushayar.com