sab  chale  tere  āstāñ  ko  chhoḌ
bad-zabāñ  ab  to  is  zabāñ  ko  chhoḌ
mat  uThā  yaar  tere  kūche  meñ
aan  baiThe  haiñ  do  jahāñ  ko  chhoḌ
vaqt-e-saḳhtī  ke  aah  jaatī  hai
jaan  bhī  jism-e-nā-tavāñ  ko  chhoḌ
sohbat-e-rāst  kab  ho  kaj  se  barār
tiir  āḳhir  chalā  kamāñ  ko  chhoḌ
dast-e-be-dād-e-bāġhbāñ  se  aah
ham  chale  āḳhir  āshiyāñ  ko  chhoḌ
baaġh  se  vo  phirā  to  murġh-e-chaman
lag  chale  saath  gulsitāñ  ko  chhoḌ
nā-tavānī  se  misl-e-naqsh-e-qadam
rahe  nā-chār  kārvāñ  ko  chhoḌ
ham-nashīñ  kah  tamām  qissa-e-ishq
āj-kal  par  na  dāstāñ  ko  chhoḌ
ye  mirā  haal  hai  jo  vo  qātil
uTh  gayā  dam  ke  mehmāñ  ko  chhoḌ
jis  tarah  pher  halq  par  ḳhanjar
de  koī  murġh-e-nīm-jāñ  ko  chhoḌ
kar  javānī  pe  rahm  'jur.at'  kī
bas  ġham-e-ishq  is  javāñ  ko  chhoḌ