Jurat Qalandar Bakhsh

jis ke talib hain wo matlub kahin baiTh raha

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
jis ke tālib haiñ vo matlūb kahīñ baiTh rahā
muntazir ham ko biThā ḳhuub kahīñ baiTh rahā
bas ki likkhī thī maiñ hālat dil-e-gum-gashta kī
kho ke qāsid mirā maktūb kahīñ baiTh rahā
dekheñ kyā aañkh uThā kar ki hameñ to nāhaq
aañkh dikhlā ke vo mahbūb kahīñ baiTh rahā
shaam se jaise nihāñ mahr ho so vasl kī raat
muñh chhupā kar vo is uslūb kahīñ baiTh rahā
hai mirī ḳhāna-nashīnī se ye ghar ghar mazkūr
ḳhail-e-ushshāq kā sarkūb kahīñ baiTh rahā
jaanā maiñ us kā na aanā ki samajh kar vo shoḳh
baiThne ko mire ma.ayūb kahīñ baiTh rahā
būd-o-bāsh apnī kaheñ kyā ki ab us bin yuuñ hai
jis tarah se koī majzūb kahīñ baiTh rahā
avval-e-ishq meñ sūrat ye banī 'jur.at' kī
ho ke āḳhir ko vo mahjūb kahīñ baiTh rahā
Top Urdushayar.com