jis  ke  tālib  haiñ  vo  matlūb  kahīñ  baiTh  rahā
muntazir  ham  ko  biThā  ḳhuub  kahīñ  baiTh  rahā
bas  ki  likkhī  thī  maiñ  hālat  dil-e-gum-gashta  kī
kho  ke  qāsid  mirā  maktūb  kahīñ  baiTh  rahā
dekheñ  kyā  aañkh  uThā  kar  ki  hameñ  to  nāhaq
aañkh  dikhlā  ke  vo  mahbūb  kahīñ  baiTh  rahā
shaam  se  jaise  nihāñ  mahr  ho  so  vasl  kī  raat
muñh  chhupā  kar  vo  is  uslūb  kahīñ  baiTh  rahā
hai  mirī  ḳhāna-nashīnī  se  ye  ghar  ghar  mazkūr
ḳhail-e-ushshāq  kā  sarkūb  kahīñ  baiTh  rahā
jaanā  maiñ  us  kā  na  aanā  ki  samajh  kar  vo  shoḳh
baiThne  ko  mire  ma.ayūb  kahīñ  baiTh  rahā
būd-o-bāsh  apnī  kaheñ  kyā  ki  ab  us  bin  yuuñ  hai
jis  tarah  se  koī  majzūb  kahīñ  baiTh  rahā
avval-e-ishq  meñ  sūrat  ye  banī  'jur.at'  kī
ho  ke  āḳhir  ko  vo  mahjūb  kahīñ  baiTh  rahā