ḳhuub  būjhā  huuñ  maiñ  us  yaar  kuuñ  kui  kyā  jaane
is  tarah  ke  but-e-ayyār  kuuñ  kui  kyā  jaane
le  ga.iiñ  haat  señ  dil  us  kī  jhukī  huī  āñkheñ
hīla-e-mardum-e-bīmār  kuuñ  kui  kyā  jaane
maiñ  na  būjhā  thā  tirī  zulf-e-girah-dār  ke  pech
sach  ki  kaifīyat-e-makkār  kuuñ  kui  kyā  jaane
sharh-e-be-tābī-e-dil  niiñ  hai  qalam  kī  tāqat
tapish-e-shauq  ke  tūmār  kuuñ  kui  kyā  jaane
sharbat-e-ḳhūn-e-jigar  kā  maza  āshiq  paave
lazzat-e-ishq-e-jigar-ḳhār  kuuñ  kui  kyā  jaane
mashrab-e-ishq  meñ  haiñ  shaiḳh-o-barhaman  yaksāñ
rishta-e-sub.ha-o-zunnār  kuuñ  kui  kyā  jaane
namak-e-zaḳhm  huā  marham-e-gālīnosī
ḳhalish-e-sīna-e-afgār  kuuñ  kui  kyā  jaane
tauq-o-zanjīr  nahīñ  jis  pe  kise  rahm  aave
dām-e-ulfat  ke  giraftār  kuuñ  kui  kyā  jaane
jab  talak  talḳhī-e-shorāba-e-ġham  chākhā  niiñ
tab  talak  lazzat-e-dīdār  kuuñ  kui  kyā  jaane
qadr  us  nāfā-e-tātār  kī  mujh  señ  pūchho
yaar  kī  zulf  kī  mahkār  kuuñ  kui  kyā  jaane
maiñ  kahā  zaḳhmī-e-ġham  huuñ  to  diyā  us  ne  javāb
ai  'sirāj'  aise  chhupe  vaar  kuuñ  kui  kyā  jaane